Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein
jis dam ye suna hai subh-e-watan mahbus faza-e-zindan mein
jaise ki saba ai ham-qafso betab hum aae zindan mein
ho tegh-e-asar zanjir-e-qadam phir bhi hain naqib-e-manzil hum
zaKHmon se charagh-e-rahguzar baiThe hain jalae zindan mein
sad-chaak qaba-e-amn-o-sukun uryan hai ahinsai ka junun
kuchh KHun se shahidon ne apne wo gul hain khilae zindan mein
ye jabr-e-siyasat ye insan mazlum aahen majbur fughan
zaKHmon ki mahak daghon ka dhuan mat puchh faza-e-zindan mein
ghairon ki KHalish apnon ki lagan soz-e-gham-e-jaanan dard-e-watan
kya kahiye ki hum hain kis kis ko sine se lagae zindan mein
gul banti hai shayad KHak-e-watan shayad ki safar karti hai KHizan
KHushbu-e-bahaaran milti hai kuchh din se hawa-e-zindan mein
mujrim the jo hum so qaid hue sayyaad magar ab ye to bata
har waqt ye kis ko DhunDte hain diwar ke sae zindan mein
jismon pe ye kis ka nam-e-siyah likh dete hain koDon ke nishan
hain tak mein kis ki zanjiren ab aankh lagae zindan mein
raftar-e-zamana lai jin ki gati hai gul-e-naghma jin ka
hum gate hain un aawazon se aawaz milae zindan mein
(421) Peoples Rate This