Jalwa-e-gul Ka Sabab Dida-e-tar Hai Ki Nahin
jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin
meri aahon se bahaaran ki sahar hai ki nahin
rah-e-gum-karda hun kuchh us ko KHabar hai ki nahin
us ki palkon pe sitaron ka guzar hai ki nahin
dil se milti to hai ek rah kahin se aa kar
sochta hun ye teri rahguzar hai ki nahin
tez ho dast-e-sitam de bhi sharab ai saqi
tegh gardan pe sahi jam sipar hai ki nahin
main jo kahta tha so ai rahbar-e-kotah-KHiram
teri manzil bhi meri gard-e-safar hai ki nahin
ahl-e-taqdir ye hai mojaza-e-dast-e-amal
jo KHazaf main ne uThaya wo guhar hai ki nahin
dekh kaliyon ka chaTakna sar-e-gulshan sayyaad
sab ki aur sab se juda apni Dagar hai ki nahin
hum riwayat ke munkir nahin lekin 'majruh'
zamzama-sanj mera KHun-e-jigar hai ki nahin
(373) Peoples Rate This