Jala Ke Mishal-e-jaan Hum Junun-sifat Chale

jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

jo ghar ko aag lagae hamare sath chale

dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin

ajab nagar hai yahan din chale na raat chale

hamare lab na sahi wo dahan-e-zaKHm sahi

wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale

sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh

jahan talak ye sitam ki siyah raat chale

hua asir koi ham-nawa to dur talak

ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale

bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa

agarche luTte rahe rahzanon ke hath chale

phir aai fasl ki manind barg-e-awara

hamare nam gulon ke muraslat chale

qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran

KHiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale

bula hi baiThe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'

baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale

(496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jala Ke Mishal-e-jaan Hum Junun-sifat Chale In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Jala Ke Mishal-e-jaan Hum Junun-sifat Chale is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Jala Ke Mishal-e-jaan Hum Junun-sifat Chale for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Jala Ke Mishal-e-jaan Hum Junun-sifat Chale in PDF.