Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae
is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae
jab tak kisi samar ko mera dil kaha na jae
shaKHon pe nok-e-tegh se kya kya khile hain phul
andaz-e-lala-kari-e-qatil kaha na jae
kis ke lahu ke rang hain ye KHar shoKH-rang
kya gul katar gai rah-e-manzil kaha na jae
baran ke muntazir hain samundar pe tishna-lab
ahwal-e-mezbani-e-sahil kaha na jae
mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar
mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae
zindan khula hai jab se hue hain riha asir
har gam hai wo shor-e-salasil kaha na jae
hum ahl-e-ishq mein nahin harf-e-gunah se kam
wo harf-e-shauq jo sar-e-mahfil kaha na jae
jis hath mein hai tegh-e-jafa us ka nam lo
'majruh' se to sae ko qatil kaha na jae
(353) Peoples Rate This