Hon Jo Sare Dast O Pa Hain KHun Main Nahlae Hue
hon jo sare dast o pa hain KHun main nahlae hue
hum bhi hain ai dil bahaaran ki qasam khae hue
KHabt hai ai ham-nashin aql-e-harifan-e-bahaar
hai KHizan in ki inhen aaina dikhlae hue
kya hai zikr-e-atish-o-ahan ki gaddaran-e-gul
marte hain hath angaron pe ghabrae hue
zindagi ki qadr sikhi shukriya tegh-e-sitam
han hamein the kal talak jine se uktae hue
sair-e-sahil kar chuke ai mauj-e-sahil sar na mar
tujh se kya bahlenge tufanon ke bahlae hue
hai yahi ek karobar-e-naghma-o-masti ki hum
ya zamin par ya sar-e-aflak hain chhae hue
saz uThaya jab to garmate phire zarron ke dil
jam hath aaya to mahr o mah ke ham-sae hue
dasht o dar banne ko hain 'majruh' maidan-e-bahaar
aa rahi hai fasl-e-gul parcham ko lahrae hue
(408) Peoples Rate This