Dushman Ki Dosti Hai Ab Ahl-e-watan Ke Sath

dushman ki dosti hai ab ahl-e-watan ke sath

hai ab KHizan chaman mein nae pairahan ke sath

sar par hawa-e-zulm chale sau jatan ke sath

apni kulah kaj hai usi bankpan ke sath

kis ne kaha ki TuT gaya KHanjar-e-farang

sine pe zaKHm-e-nau bhi hai dagh-e-kuhan ke sath

jhonke jo lag rahe hain nasim-e-bahaar ke

jumbish mein hai qafas bhi asir-e-chaman ke sath

'majruh' qafile ki mere dastan ye hai

rahbar ne mil ke luT liya rahzan ke sath

(530) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman Ki Dosti Hai Ab Ahl-e-watan Ke Sath In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Dushman Ki Dosti Hai Ab Ahl-e-watan Ke Sath is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Dushman Ki Dosti Hai Ab Ahl-e-watan Ke Sath for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Dushman Ki Dosti Hai Ab Ahl-e-watan Ke Sath in PDF.