Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai
dur dur mujh se wo is tarah KHiraman hai
har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jaan hai
ban gai hai masti mein dil ki baat hangama
qatra thi jo saghar mein lab tak aa ke tufan hai
hum to pa-e-jaan par kar bhi aae ek sajda
sochti rahi duniya kufr hai ki iman hai
mere shikwa-e-gham se aalam-e-nadamat mein
is lab-e-tabassum par shama si farozan hai
ye niyaz-e-gham-KHwari ye shikast-e-dildari
bas nawazish-e-jaanan dil bahut pareshan hai
muntazir hain phir mere hadse zamane ke
phir mera junun teri bazm mein ghazal-KHwan hai
fikr kya unhen jab tu sath hai asiron ke
ai gham-e-asiri tu KHud shikast-e-zindan hai
apni apni himmat hai apna apna dil 'majruh'
zindagi bhi arzan hai maut bhi farawan hai
(540) Peoples Rate This