Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye
chaman hai maqtal-e-naghma ab aur kya kahiye
bas ek sukut ka aalam jise nawa kahiye
asir-e-band-e-zamana hun sahaban-e-chaman
meri taraf se gulon ko bahut dua kahiye
yahi hai ji mein ki wo rafta-e-taghaful o naz
kahin mile to wahi qissa-e-wafa kahiye
use bhi kyun na phir apne dil-e-zabun ki tarah
KHarab-e-kakul o aawara-e-ada kahiye
ye ku-e-yar ye zindan ye farsh-e-mai-KHana
inhen hum ahl-e-tamanna ke naqsh-e-pa kahiye
wo ek baat hai kahiye tulu-e-subh-e-nashat
ki tabish-e-badan o shola-e-hina kahiye
wo ek harf hai kahiye use hikayat-e-zulf
ki shikwa-e-rasan o bandish-e-bala kahiye
rahe na aankh to kyun dekhiye sitam ki taraf
kaTe zaban to kyun harf-e-na-rawa kahiye
pukariye kaf-e-qatil ko ab mualij-e-dil
baDhe jo naKHun-e-KHanjar girah-kusha kahiye
paDe jo sang to kahiye use niwala-e-zar
lage jo zaKHm badan par use qaba kahiye
fasana jabr ka yaron ki tarah kyun 'majruh'
maza to jab hai ki jo kahiye barmala kahiye
(352) Peoples Rate This