Ba-nam-e-kucha-e-dildar Gul Barse Ki Sang Aae
ba-nam-e-kucha-e-dildar gul barse ki sang aae
hansa hai chaak-e-pairahan na kyun chehre pe rang aae
bachate phirte aaKHir kab talak dast-e-azizan se
unhin ko saunp kar hum to kulah-e-nam-o-nang aae
hanso mat ahl-e-dil apni si jaano bazm-e-KHuban mein
chale aae idhar hum bhi bahut jab dil se tang aae
kahan sehn-e-chaman mein baat ku-e-sar-faroshan ki
idhar se sada-ru nikle udhar se lala-rang aae
karo 'majruh' tab dar-o-rasan ke tazkire hum se
jab us qamat ke sae mein tumhein jine ka Dhang aae
(414) Peoples Rate This