Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen
ahl-e-tufan aao dil-walon ka afsana kahen
mauj ko gesu bhanwar ko chashm-e-jaanana kahen
dar par chaDh kar lagaen nara-e-zulf-e-sanam
sab hamein ba-hosh samjhen chahe diwana kahen
yar-e-nukta-dan kidhar hai phir chalen us ke huzur
zindagi ko dil kahen aur dil ko nazrana kahen
thamen us but ki kalai aur kahen is ko junun
chum len munh aur ise andaz-e-rindana kahen
surKHi-e-mai kam thi main ne chhu liye saqi ke honT
sar jhuka hai jo bhi ab arbab-e-mai-KHana kahen
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab hum ne to dekhe kis ko paimana kahen
para-e-dil hai watan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viran ya is dil ko virana kahen
ai ruKH-e-zeba bata de aur abhi hum kab talak
tirgi ko sham-e-tanhai ko parwana kahen
aarzu hi rah gai 'majruh' kahte hum kabhi
ek ghazal aisi jise taswir-e-jaanana kahen
(455) Peoples Rate This