Ada-e-tul-e-suKHan Kya Wo IKHtiyar Kare
ada-e-tul-e-suKHan kya wo iKHtiyar kare
jo arz-e-haal ba-tarz-e-nigah-e-yar kare
bahut hi talKH-nawa hun magar aziz-e-watan
main kya karun jo tera dard be-qarar kare
qadam ko faiz-e-junun se wo hausla hai nasib
jo KHar-e-rah ko bhi sham-e-rahguzar kare
jagaen ham-safaron ko uThaen parcham-e-shauq
na jaane kab ho sahar kaun intizar kare
misal milti hai kitnon ki us diwane se
chaman se dur jo baiTha gham-e-bahaar kare
dayar-e-jaur mein rasta hai ek yahi warna
kise pasand hai ai dil ki sair-dar kare
KHuda kare gham-e-giti ka pech-o-tab ai dost
kuchh aur bhi teri zulfon ko tabdar kare
sitam ki tegh-e-qalam den use jo ai 'majruh'
ghazal ko qatl kare naghme ko shikar kare
(379) Peoples Rate This