Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh
aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh
ho hi jaegi koi jine ki tadbir na dekh
hadse aur bhi guzre teri ulfat ke siwa
han mujhe dekh mujhe ab meri taswir na dekh
ye zara dur pe manzil ye ujala ye sukun
KHwab ko dekh abhi KHwab ki tabir na dekh
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh
kuchh bhi hun phir bhi dukhe dil ki sada hun nadan
meri baaton ko samajh talKHi-e-taqrir na dekh
wahi 'majruh' wahi shair-e-awara-mizaj
koi uTTha hai teri bazm se dil-gir na dekh
(365) Peoples Rate This