Aabla-pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein

aabla-pa koi guzra tha jo pichhle san mein

surKH kanTon ki bahaar aai hai ab ke ban mein

dekhna rang-e-badan yar ke pairahan mein

chandni dudh si chhiTki hai mere aangan mein

dekhna dida-waro aamad-e-tufan to nahin

Tapki hai dard ki ek bund mere daman mein

main ham-aghosh-e-sanam tha magar a pir-e-haram

ye shikan kaise paDi aap ke pairahan mein

kuchh na kuchh aaj asiron ne kaha to hai zarur

ek ek gul se lipaTti hai saba gulshan mein

sahal itne bhi nahin ai sitam-ijad ki hum

tham lete hain gareban diwane-pan mein

sar taslim nahin bazu-e-qatil ka jawab

aaKHirash mare gae KHud bhi masiha an mein

ja rahe ho to zara dekhna tum bhi 'majruh'

meri aankhen wahin zindan ke kisi rauzan mein

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aabla-pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Aabla-pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Aabla-pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Aabla-pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein in PDF.