Bulbul
chaman mein lai hai phulon ki aarzu tujh ko
mila kahan se ye ehsas-e-rang-o-bu tujh ko
teri tarah koi sar-gashta-e-jamal nahin
gulon mein mahw hai kanTon ka kuchh KHayal nahin
KHizan ka KHauf na hai baghban ka Dar tujh ko
maal-e-kar ka bhi kuchh KHatar nahin tujh ko
KHush-e'tiqad o KHush-ahang KHush-nawa bulbul
jigar ke dagh ko pur-nur kar diya kis ne
tujhe is aag se mamur kar diya kis ne
ye dil ye dard ye sauda kahan se lai hai
kahan ki tu ne ye tarz-e-fughan uDai hai
tujhe bahaar ka ek murgh-e-KHush-nawa samjhun
ki dard-mand dilon ki koi sada samjhun
siwa ek aah ke saman-e-hast-o-bud hai kya
tu hi bata tera sarmaya-e-wajud hai kya
wo naqd-e-jaan hai ki hai nala-e-hazin tera
nishan-e-hasti-e-mauhum kuchh nahin tera
use bhi waqf-e-tamanna-e-yar kar dena!
nisar-e-jalwa-e-gul jaan-e-zar kar dena!
hazar rang KHizan ne bahaar ne badle
hazar rup yahan rozgar ne badle
teri qadim rawish dekhta hun bachpan se
hai subh-o-sham tujhe kaam apne shewan se
asar-pazir hawadis tera tarana nahin?
dayar-e-ishq mein ya gardish-e-zamana nahin?
na aashiyana kahin hai na hai watan tera
rahega yunhi basera chaman chaman tera
tera jahan hai baala jahan-e-insan se
ki be-niyaz hai tu hadsat-e-imkan se
tera farogh farogh-e-jamal-e-jaanan hai
tera nashat nashat-e-gul-o-gulistan hai
teri hayat ka maqsad hi dost-dari hai
tera muamla sud o ziyan se aari hai
azal ke din se hai mahw-e-jamal-e-jaanana
rahegi ta-ba-abad ma-siwa se begana
tujhe kis aag ne hirs-o-hawa se pak kiya
tamam KHirman-e-hasti jala ke KHak kiya
mujhe bhi de koi daru-e-KHud-faramoshi
jahan o kar-e-jahan se rahe subukdoshi
mata-e-hosh ko ek justuju mein khona hai
mujhe bhi yani tera ham-safir hona hai
tu KHush banal mara ba tu hasrat-e-yari ast
ki ma do aashiq-e-zarem o kar-e-ma zari ast
(525) Peoples Rate This