KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle
KHas-o-KHashak bhi kab ke hain bhanwar se nikle
ek hamin hain ki nahin nargha-e-shar se nikle
zaKHm wo khul bhi to sakta hai silaya hai jise
hum bhala kab hain had-e-KHauf-o-KHatar se nikle
ye safar apna kahin jaanib-e-mahshar hi na ho
hum liye kis ka janaza hain ye ghar se nikle
kal jo Tapke the sar-e-kucha-e-kotah-nazran
ashk ab ke bhi wahi dida-e-tar se nikle
aks kuchh apna hi aaina-e-haalat mein tha
saTpaTae hue jab dam-e-safar se nikle
kaun kah sakta hai 'majid' ki ba-in kam-nigahi
hashr kya saat-e-ainda ke dar se nikle
(417) Peoples Rate This