Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka
dhoka tha har ek barg pe TuTe hue par ka
wa jis ke liye rah gaya daman sharar ka
main ashk hun main os ka qatra hun sharar hun
andaz baham hai mujhe pani ke safar ka
karwaT si badalta hai andhera to use bhi
de dete hain hum sada-manush nam sahar ka
tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne
ruswa hai bahut nam yahan ahl-e-hunar ka
qaem na raha KHak se jab rishta-e-jaan to
bas dhul pata puchhne aati thi shajar ka
jo shah ke kandhon ki wajahat ka sabab hai
dekho to bhala taj hai kis kasa-e-sar ka
ashkon se tapan hai kabhi aahon se KHunuk hai
ek umr se 'majid' yahi mausam hai nagar ka
(400) Peoples Rate This