Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa
arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa
bandagi mein kya se kya ye sar nigun karna paDa
minnat-e-sahil bhi sar le li bhanwar mein Dolte
han ye hila bhi hamein bahr-e-sukun karna paDa
samne us yar ke bhi aur sar-e-darbar bhi
ek ye dil tha jise har bar KHun karna paDa
hum ki the ahl-e-safa ye raaz kis par kholte
qafile ka sath aaKHir tark kyun karna paDa
KHam na ho paya to sar hum ne qalam karwa liya
wun na kuchh 'majid' hua hum se to yun karna paDa
(433) Peoples Rate This