Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai
lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai
sachchai ki apni rit purani hai
lab par aah-e-musalsal aankh mein pani hai
tanhai ka har lamha nuqsani hai
shor hamesha rahta hai is kuche mein
dil hai ya sine mein ek zindani hai
jis ko chahen be-izzat kar sakte hain
aap baDe hain aap ko ye aasani hai
kamzoron par rahmat ban kar chha jao
mera qaul nahin hukm-e-rabbani hai
hum sab un ke daman se wabasta hain
mushkil mein bhi hum ko ye aasani hai
tujh ko zamana mujh se chhine na-mumkin
tera mera rishta ruhani hai
main bhi un ke maddahon mein shamil hun
is duniya par meri bhi sultani hai
dharti ambar yari us ki hai sab se
'majid' jis ko kahte hain sailani hai
(554) Peoples Rate This