Jaise In Sajdon Ka Sar Se Rishta Hai
jaise in sajdon ka sar se rishta hai
bilkul aisa mera ghar se rishta hai
meri aankhen kuchh soi si rahti hain
shayad in ka KHwab-nagar se rishta hai
tujh ko kaise bhul sakega dil mera
tera mera to indr se rishta hai
ai shahzadi sath hamare mat chalna
banjaron ka dhup safar se rishta hai
lauh-e-falak par likkhi hai jis ki izzat
hum logon ka us ke dar se rishta hai
jis ke sae mein hum baKHshe jaenge
hum logon ka us chadar se rishta hai
wo auron par sang uchhaale na-mumkin
'majid' ka shishe ke ghar se rishta hai
(466) Peoples Rate This