Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f30db3501ba4516d038be0c298b45f8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main - Majeed Maiman Poetry In English - Darsaal

Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main

zulm-o-sitam ki aag mein jalta raha hun main

apne lahu mein jal ke ubalta raha hun main

yun bhi nizam-e-dahr badalta raha hun main

apne lahu se aag ugalta raha hun main

insaniyat ki tirgi ho dur is liye

qanun ki kitab mein jalta raha hun mein

mujh ko nichoDti rahi tariKH bar bar

misl-e-magas hi shahd ugalta raha hun main

yun husn-e-gulistan ko baDhata hun main 'majid'

har lamha nok-e-KHar pe chalta raha hun main

(544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main In English By Famous Poet Majeed Maiman. Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main is written by Majeed Maiman. Read famous Poem Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main for youth and Student by Majeed Maiman. Free Download Zulm-o-sitam Ki Aag Mein Jalta Raha Hun Main in PDF.