Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1539a5a1c0cdb02fa1d68b689ecb8ffa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile - Majeed Maiman Poetry In English - Darsaal

Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile

zist ki rah mein jitne mujhe gulzar mile

un mein dekha to faqat dhul mili KHar mile

bas usi waqt se ahl-e-junun kahlae gae

us hasin but se jo ahl-e-KHirad ek bar mile

ai masiha tujhe ek bar phir aana hoga

teri duniya mein mujhe sainkaDon bimar mile

shaiKH sahab hi kahin mujh ko nahin aae nazar

warna har tarah ke jannat mein gunahgar mile

sath ahbab nibhate hain isi tarah 'majid'

dam nikalne ko hai aankhen khulin aghyar mile

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile In English By Famous Poet Majeed Maiman. Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile is written by Majeed Maiman. Read famous Poem Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile for youth and Student by Majeed Maiman. Free Download Zist Ki Rah Mein Jitne Mujhe Gulzar Mile in PDF.