Karo Wo Kaam Jis Se Har Kisi Ko Faeda Pahunche

karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche

bano wo shama jis se tira-baKHti ko ziya pahunche

Thahar kar sans bhi hum ne na li jab gamzan the hum

jo ruk ruk kar chale rahon mein wo manzil ko kya pahunche

pila kuchh is tarah ki lauT kar jaana na ho mumkin

ki Thukra kar do-alam hum yahan tak saqiya pahunche

jo kahte the ki gar Dube bhi to ek sath Dubenge

wo hum ko chhoD kar manjdhaar mein sahil pe ja pahunche

hamare KHun se us shoKH ke rang-e-hina aae

payam-e-shauq le kar koi un tak dusra pahunche

mera KHat phaD kar tum ne kiya asbab-e-ruswai

ye TukDe uD ke bikhrenge jahan tak bhi hawa pahunche

na chheD ai mutrib-e-KHush-zauq naghma ishq-o-ulfat ka

ki jis se ek shikasta dil ke zaKHmon ko jila pahunche

hum aajiz aa gae ab naseh-o-mulla ki baaton se

jinhen hai KHabt jannat ka unhen to bas KHuda pahunche

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karo Wo Kaam Jis Se Har Kisi Ko Faeda Pahunche In English By Famous Poet Majeed Maiman. Karo Wo Kaam Jis Se Har Kisi Ko Faeda Pahunche is written by Majeed Maiman. Read famous Poem Karo Wo Kaam Jis Se Har Kisi Ko Faeda Pahunche for youth and Student by Majeed Maiman. Free Download Karo Wo Kaam Jis Se Har Kisi Ko Faeda Pahunche in PDF.