Zindagi Silsila-e-wahm-o-guman Hai Yaro
zindagi silsila-e-wahm-o-guman hai yaro
dil-e-betab ko taskin kahan hai yaro
wahi sayyaad ki ghaten hain wahi kunj-e-qafas
fasl-e-gul rehn-e-gham-e-jaur-e-KHizan hai yaro
wahi afkar ki uljhan wahi mahaul ka jabr
zehn pa-basta-e-zanjir-e-giran hai yaro
wahi hasrat wahi lab aur wahi mohar-e-sukut
shauq ko jurat-e-izhaar kahan hai yaro
azm ki rah bhi wahi rah mein kanTe bhi wahi
dur koson mari manzil ka nishan hai yaro
bewafai ka KHudara mujhe ilzam na do
tum pe haal-e-dil-e-betab ayan hai yaro
kash main kah bhi sakun kash koi sun bhi sake
aah wo raaz ki jo raaz-e-nihan hai yaro
mere honTon pe hai ek naghma-e-be-saut-o-sada
dil mein ek mahshar-e-fariyaad-o-fughan hai yaro
ek taghaful ki jo hai wajh-e-pareshani-e-dil
ek yaad in ki hai jo rahat-e-jaan hai yaro
aaj sahil ke qarin Dubne wala hai 'majid'
naKHuda ko to pukaro wo kahan hai yaro
(596) Peoples Rate This