Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a60419b63a0d4d3c15c522a23c9b14b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya - Majeed Lahori Poetry In English - Darsaal

Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya

jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya

bichhaD gae to bahut karwan ne yaad kiya

mila nahin use shayad koi sitam ke liye

zah-e-nasib mujhe aasman ne yaad kiya

wo ek dal jo kaDi dhup mein jhulasta tha

use bhi saya-e-zulf-e-butan ne yaad kiya

panah mil na saki un ko tere daman mein

wo ashk jin ko mah-o-kahkashan ne yaad kiya

KHayal hum ko bhi kuchh aashiyan ka tha lekin

qafas mein hum ko bahut aashiyan ne yaad kiya

hamare baad bahae kisi ne kab aansu

hum ahl-e-dard ko abr-e-rawan ne yaad kiya

gham-e-zamana se fursat nahin magar phir bhi

'majid' chal tujhe pir-e-mughan ne yaad kiya

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya In English By Famous Poet Majeed Lahori. Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya is written by Majeed Lahori. Read famous Poem Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya for youth and Student by Majeed Lahori. Free Download Jahan Ko ChhoD Diya Tha Jahan Ne Yaad Kiya in PDF.