Haziq-ul-mulk Na Koi Bhi Raha Mere Baad

haziq-ul-mulk na koi bhi raha mere baad

kaun dega tujhe khujli ki dawa mere baad

murghiyan kofte machhli bhune titar anDe

kis ke ghar jaega sailab-e-ghiza mere baad

fatiha-KHwani mein ahbab uDaenge polaw

aur karenge meri baKHshish ki dua mere baad

ek yahi chiz hai jo KHair se hai be-ration

kaun khaega clifton ki hawa mere baad

sainkaDon plan bana kar tujhe dunga ai dost

jin ke paDhne se ho bahuton ka bhala mere baad

ai ki hai sefety-razor tera har har ghamza

aur kis kis pe karega tu jafa mere baad

kal ye ek unT se kahta tha shuturban 'majid'

kaun hoga tere ghamzon pe fida mere baad

(576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haziq-ul-mulk Na Koi Bhi Raha Mere Baad In English By Famous Poet Majeed Lahori. Haziq-ul-mulk Na Koi Bhi Raha Mere Baad is written by Majeed Lahori. Read famous Poem Haziq-ul-mulk Na Koi Bhi Raha Mere Baad for youth and Student by Majeed Lahori. Free Download Haziq-ul-mulk Na Koi Bhi Raha Mere Baad in PDF.