Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum
ek nau-bahaar-e-naz ko mehman karenge hum
har dagh-e-dil ko rashk-e-gulistan karenge hum
saghar mein nur-e-dida-e-anjum unDel kar
phir tirgi-e-gham mein charaghan karenge hum
uD jaengi faza mein bahaaron ki dhajjiyan
jis waqt tar tar gareban karenge hum
kahte hain aasman pe wo zulfen bikher kar
jhulsi hui zamin pe ehsan karenge hum
ji bhar ke hum ko kar le pareshan aasman
ek roz aasman ko pareshan karenge hum
ai waqt san ki aaega jab bhi hamara waqt
tufan ko mauj mauj ko tufan karenge hum
jab tak hamare samne jam-e-sharab hai
barham mizaj-e-gardish-e-dauran karenge hum
wo aarzu ki dil se zaban tak na aa sake
kuchh is ka tazkira bhi meri jaan karenge hum
dur KHizan se koi kahe ja ke a 'majid'
phir ehtimam-e-jashn-e-bahaaran karenge hum
(417) Peoples Rate This