Tausi-e-shahr
bis baras se khaDe the jo is gati nahr ke dwar
jhumte kheton ki sarhad par banke pahre-dar
ghane suhane chhanw chhiDakte bor lade chhitnar
bis hazar mein bik gae sare hare bhare ashjar
jin ki sans ka har jhonka tha ek ajib tilism
qatil teshe chir gae un sawanton ke jism
giri dhaDam se ghayal peDon ki nili diwar
kaTte haikal jhaDte pinjar chhaTte barg-o-bar
sahi dhup ke zard kafan mein lashon ke ambar
aaj khaDa main sochta hun is gati nahr ke dwar
is maqtal mein sirf ek meri soch lahakti Dal
mujh par bhi ab kari zarb ek ai aadam ki aal
(451) Peoples Rate This