ManTo
main ne us ko dekha hai
ujli ujli saDkon par ek gard bhari hairani mein
phailti bhiD ke aundhe aundhe kaToron ki tughyani mein
jab wo KHali botal phenk ke kahta hai
duniya! tera husn, yahi bad-surati hai
duniya us ko ghurti hai
shor-e-salasil ban kar gunjne lagta hai
angaron bhari aankhon mein ye tund sawal
kaun hai ye jis ne apni bahki bahki sanson ka jal
baam-e-zaman par phenka hai
kaun hai jo bal khate zamiron ke pur-pech dhundalkon mein
ruhon ke ifrit-kadon ke zahr-andoz mahlakon mein
le aaya hai yun bin puchhe apne aap
ainak ke barfile shishon se chhanti nazron ki chap
kaun hai ye gustaKH
taKH taDaKH!
(759) Peoples Rate This