Kaun Dekhega
jo din kabhi nahin bita wo din kab aaega
inhi dinon mein is ek din ko kaun dekhega
us ek din ko jo suraj ki rakh mein ghaltan
inhi dinon ki tahon mein hai kaun dekhega
us ek din ko jo hai umr ke zawal ka din
inhin dinon mein numu-yab kaun dekhega
ye ek sans jhamelon-bhari jugon mein rachi
is apni sans mein kaun apna ant dekhega
is apni miTTi mein jo kuchh amiT hai miTTi hai
jo din in aankhon ne dekha hai kaun dekhega
main roz idhar se guzarta hun kaun dekhta hai
main jab idhar se na guzrunga kaun dekhega
do-ruya sahil-e-diwar aur pas-e-diwar
ek aainon ka samundar hai kaun dekhega
hazar chehre KHud-ara hain kaun jhankega
mere na hone ki honi ko kaun dekhega
taDaKH ke gard ki tah se agar kahin kuchh phul
khile bhi, koi to dekhega kaun dekhega
(677) Peoples Rate This