Kabhi Kabhi To Zindagiyan
kabhi kabhi to zindagiyan kuchh itne waqt mein apni muraden hasil kar leti hain
jitne waqt mein luqma plate se munh mein pahunchta hai aur
aksar aisi muradon ki to pahunch bhi luqmon tak hoti hai
aur jab aisi manzilen barwar hoti hain to shahr panapte hain aur ganw phabakte hain… aur
tahzibon ki manDiyon mein har jaanib qistason ki TeDhi DanDiyan roz o shab tezi tezi se
insanon ki jholiyon mein rizqon ki dhaDyan ulaTti hain aur
bhare samajon mein shuddh talqinon ki DauDiyan piTne wale bhi apni apni paghambariyon ki tanKHwahen pate hain
lekin kis ko KHabar hai aisi bhi hain manzilen jin tak jaane wale raston par na dua ka saya hai na qaza ka gaDha hai
kuchh hai bhi to bas apni sochon ki dhajjiyon mein simTi hui ek bechaargi jis ki be-sada
huk mein umren Dub jati hain
aur qutbon se qutbon tak uD uD kar jaane wale thake paron ki kamanen bhi to
ek manzil pe chamakti aabnao ki samt lachak jati hain
lekin hae wo manzilen jin tak har sachchai rasta hai aur har sachchai maut ka jita nam hai
(402) Peoples Rate This