Jis Bhi Ruh Ka
jis bhi ruh ka ghunghaT sarkao… niche ek
manfeat ka ruKH apne itminanon mein raushan hai
hum samajhte the ghirte umaDte baadalon ke niche jab ThanDi hawa chalegi
din badlenge
lekin ab dekha hai ghane ghane sayon ke niche
zindagiyon ki salsabilon mein
Dhaki Dhaki jin naliyon se pani aa aa kar girta hai
sab zer-e-zamin nizamon ki nili kaDiyan hain
sab tamliken hain sab tazlilen hain
kaun sahaara dega un ko jin ke liye sab kuchh ek karb hai
kaun sahaara dega un ko jin ka sahaara aasmanon ke KHalaon mein bikhra hua
dhundla dhundla ek aks hai
main un akson ka akkas hun
(359) Peoples Rate This