Jarub-kash
aasmanon ke tale sabz-o-KHunuk goshon mein
koi hoga jise ek saat-e-rahat mil jae
ye ghaDi tere muqaddar mein nahin hai na sahi
aasmanon ke tale talKH-o-siyah rahon par
itne gham bikhre paDe hain ki agar tu chun le
koi ek gham teri qismat ko badal sakta hai
aasmanon ke tale talKH-o-siyah rahon par
tu agar dekhe to KHushiyon ki gurezan sarhad
soz-e-yak-gham se shakeb-e-gham-e-digar tak hai
zindagi qahr sahi zahr sahi kuchh bhi sahi
aasmanon ke tale talKH-o-siyah lamhon mein
jura-e-sam ke liye iffat-e-lab lazim hai
aur tu hai ki tere jism ka saya bhi najis
tu agar chahe to in talKH-o-siyah rahon par
ja-ba-ja itni taDapti hui duniyaon mein
itne gham bikhre paDe hain ki jinhen teri hayat
qut-e-yak-shab ke taqaddus mein samo sakti hai
kash tu hila-e-jarub ke par noch sake
kash tu soch sake soch sake
(399) Peoples Rate This