Imroz
abad ke samundar ki ek mauj jis par meri zindagi ka kanwal tairta hai
kisi an-suni daimi ragni ki koi tan aazurda aawara barbaad
jo dam bhar ko aa kar meri uljhi uljhi si sanson ke sangit mein Dhal gai hai
zamane ki phaili hui be-karan wusaton mein ye do chaar lamhon ki miad
tulu o ghurub-e-mah-o-mehr ke jawedani tasalsul ki do chaar kaDiyan
ye kuchh thartharaate ujalon ka ruman ye kuchh sansanate andheron ka qissa
ye jo kuchh ki mere zamane mein hai aur ye jo kuchh ki us ke zamane mein main hun
yahi mera hissa azal se abad ke KHazanon se hai bas yahi mera hissa
mujhe kya KHabar waqt ke dewta ki hasin rath ke pahiyon tale pis chuke hain
muqaddar ke kitne khilaune zamanon ke hangame sadiyon ke sad-ha hayule
mujhe kya talluq meri aaKHiri sans ke baad bhi dosh-e-giti pe machle
mah o sal ke la-zawal aab-shaar-e-rawan ka wo aanchal jo taron ko chhu le
magar aah ye lamha-e-muKHtasar jo meri zindagi mera zad-e-safar hai
mere sath hai mere bas mein hai meri hatheli pe hai ye laba-lab pyala
yahi kuchh hai le de ke mere liye is KHarabaat-e-sham-o-sahar mein yahi kuchh
ye ek mohlat-e-kawish-e-dard-e-hasti ye ek fursat-e-koshish-e-ah-o-nala
ye sahba-e-imroz jo subh ki shahzadi ki mast ankhDiyon se Tapak kar
ba-daur-e-hayat aa gai hai ye nannhi si chiDiyan jo chhat mein chahakne lagi hain
hawa ka ye jhonka jo mere dariche mein tulsi ki Tahni ko larza gaya hai
paDosan ke aangan mein pani ke nalke pe ye chuDiyan jo chhanakne lagi hain
ye duniya-e-imroz meri hai mere dil-e-zar ki dhaDkanon ki amin hai
ye ashkon se shadab do chaar subhen ye aahon se mamur do chaar shamen
inhi chilmanon se mujhe dekhna hai wo jo kuchh ki nazron ki zad mein nahin hai
(521) Peoples Rate This