Fard
itne baDe nizam mein sirf ek meri hi neki se kya hota hai
main to is se ziyaada kar hi kya sakta hun
mez par apni sari duniya
kaghaz aur qalam aur TuTi phuTi nazmen
sari chizen baDe qarine se rakh di hain
dil mein bhari hui hain itni achchhi achchhi baaten
in baaton ka dhyan aata hai to ye sans baDi hi besh-baha lagti hai
mujh ko bhi to kaisi kaisi baaton se rahat milti hai
mujh ko is rahat mein sadiq pa kar
sare jhuT meri tasdiq ko aa jate hain
ek agar main sachcha hota
meri is duniya mein jitne qarine saje hue hain
un ki jagah be-tartibi se paDe hue kuchh TukDe hote
mere jism ke TukDe kale jhuT ke is chalte aare ke niche
itne baDe nizam se meri ek neki Takra sakti thi
agar ek main hi sachcha hota
(443) Peoples Rate This