Dastak
kis ne darwaza khaTkhaTaya hai
ja ke dekhun to kaun aaya hai
kaun aaya hai mere dware par
raat aai kahan bichaare par
mere chhappar se Tek kar kandha
kaun istada hai thaka-manda
meri kuTiya mein aao susta lo
ye mera saghar-e-shikasta lo
meri chhagal se ghonT pani piyo
ek nae azm ki jawani piyo
TimTimate diye ki jhilmil mein
jot sulga lo ek nai dil mein
ye mere aansuon ki shabnam lo
panw ke aablon ki marham lo
ye mujhe iftiKHar do baiTho
sar se ga utar do baiTho
mere zanu par apna sar rakh kar
taq par kahish-e-safar rakh kar
nind ki anjuman mein kho jao
manzilon ke sapan mein kho jao
KHwab wadi-o-kohsar ke KHwab
dasht-o-dariya-o-abshaar ke KHwab
KHwab andheri tawil rahon ke
kunj-e-sahra ki KHema-gahon ke
jahan ek shama abhi farozan hai
jahan ek dil tapan hai sozan hai
tum lipaT jao in KHayalon se
aur main khelun tumhaare baalon se
subh jab nur ka fusun barse
suni pagDanDiyon pe KHun barse
bag thame hasin iradon ki
tum KHabar lo phir apne jadon ki
jab talak zist ka safina bahe
ajnabi ajnabi ko yaad rahe
mujh ko ye apni yaad de jao
aao bhi kyun jhijhakte ho aao
tum kahan ho kahan jawab to do
o mere mehman jawab to do
tum ne darwaza khaTkhaTaya tha
kis ki dastak thi kaun aaya tha
nim-shab qafile sitaron ke
tez harkare abr-paron ke
kis ne nindon ko meri Toka tha
koi jhonka tha koi dhoka tha
(422) Peoples Rate This