Bus-satand Par
KHudaya ab ke ye kaisi bahaar aai
KHuda se kya gila bhai
KHuda to KHair kis ne us ka aks-e-naqsh-e-pa dekha
na dekha to bhi dekha aur dekha bhi to kya dekha
magar tauba meri tauba ye insan bhi to aaKHir ek tamasha hai
ye jis ne pichhli Tangon par khaDa hona baDe jatanon se sikha hai
abhi kal tak jab us ke abruon tak mu-e-pechan the
abhi kal tak jab us ke honT mahrum-e-zanaKHdan the
rida-e-sad-zaman oDhe larazta kanpta baiTha
zamir-e-sang se bas ek chingari ka talib tha
magar ab to ye unchi mamTiyon wale jilau-KHanon mein basta hai
hamare hi labon se muskurahaT chhin kar ab hum pe hansta hai
KHuda us ka KHudai us ki har shai us ki hum kya hain
chamakti motoron se uDne wali dhul ka nachiz zarra hain
hamari hi tarah jo paemal-e-satwat-e-amiri-o-shahi mein
likhokha aabdida pa-piyaada dil-zada wamanda rahi hain
jinhen nazron se gum hote hue raston ki gum-paima lakiron mein
dikhai de rahi hain aane wali manzilon ki dhundli taswiren
zarur ek roz badlega nizam-e-qismat-e-adam
basegi ek nai duniya sajega ek naya aalam
shabistan mein nai shamen gulistan mein naya mausam
wo rut ai ham-nafas jaane kab aaegi
wo fasl-e-der-ras jaane kab aaegi
ye nau number ki bas jaane kab aaegi
(349) Peoples Rate This