Bunda
kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota
raat ko be-KHabari mein jo machal jata main
to tere kan se chup-chap nikal jata main
subh ko girte teri zulfon se jab basi phul
mere kho jaane pe hota tera dil kitna malul
tu mujhe DhunDhti kis shauq se ghabrahaT mein
apne mahke hue bistar ki har ek silwaT mein
junhi kartin teri narm ungliyan mahsus mujhe
milta is gosh ka phir gosha-e-manus mujhe
kan se tu mujhe hargiz na utara karti
tu kabhi meri judai na gawara karti
yun teri qurbat-e-rangin ke nashe mein madhosh
umr bhar rahta meri jaan main tera halqa-ba-gosh
kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota
(618) Peoples Rate This