Autograph
khilaDiyon ke KHud-nawisht dastaKHat ke waste
kitabche liye hue
khaDi hain muntazir hasin laDkiyan
Dhalakte aanchalon se be-KHabar hasin laDkiyan
muhib phaTakon ke Dolte kiwaD chiKH uThe
ubal paDe ulajhte bazuon chaTaKHti pisliyon ke pur-hiras qafile
gire baDhe muDe bhanwar hujum ke
khaDi hain ye bhi raste pe ek taraf
bayaz-e-arzu ba-kaf
nazar nazar mein na-rasa parstishon ki dastan
laraz raha hai dam-ba-dam
kaman-e-abruwan ka KHam
koi jab ek naz-e-be-niyaz se
kitabchon pe khinchta chala gaya
Huruf-e-kaj-tarash ki lakir si
to tham gain labon pe muskurahaTen sharir si
kisi azim shaKHsiyat ki tamkanat
hinai ungliyon mein kanpte waraq pe jhuk gai
to zar-nigar pallwon se jhankti kalaiyon ki tez nabz ruk gai
wo bolar ek mah-washon ke jamghaTon mein ghir gaya
wo safha-e-bayaz par ba-sad-ghurur kilk-e-gauharin phiri
hasin khilkhilahaTon ke darmiyan wicket giri
main ajnabi main be-nishan
main pa-ba-gil
na rifat-e-maqam hai na shohrat-e-dawam hai
ye lauh-e-dil ye lauh-e-dam
na is pe koi naqsh hai na is pe koi nam hai
(1014) Peoples Rate This