Aur Ye Insan
aur ye insan jo miTTi ka ek zarra hai jo miTTi se bhi kam-tar hai
apne liye DhunDe to us ke sare sharaf sachchi tamkinon mein hain
lekin kya ye takrimen milti hain
zar ki chamak se
tahzibon ki chhab se
saltanton ki dhaj se
nahin nahin to
phir kyun miTTi ke is zarre ko sajda kiya ek ek taqat ne
kya us ki rifat hi ki ye sab tasKHiren hain
main batla dun
kya us ki quwwat aur kaisi us ki tasKHiren
main batla dun
qahir jazbon ke aage bebas hone mein miTTi ka ye zarra
apne aap mein
jab miTTi se bhi kam-tar ho jata hai sunne wala us ki sunta hai
sunne wala jis ki sune wo to apne miTTi hone mein bhi anmol hai
(331) Peoples Rate This