Accident
mujh se roz yahi kahta hai pakki saDak par wo kala sa dagh jo kuchh din pahle
surKH lahu ka tha ek chhinTa chikna gila chamkila chamkila
miTTi us pe giri aur maili si ek papDi us par se utri aur phir sindhuri sa ek KHaka ubhra
jo ab pakki saDak par kala sa dhabba hai pisi hui bajri mein jazb aur jamid an-miT
mujh se roz yahi kahta hai pakki saDak par masla hua wo dagh lahu ka
main ne to pahli bar us din
apni rang-birangi qashon wali gendon ke pichhe
yunhi zara ek jast bhari thi
abhi to mera roghan bhi kachcha tha
us miTTi par mujh ko unDel diya yun kis ne
wun wun main nahin miTta main to hun ab bhi hun
main ye sun kar Dar jata hun
kali bajri ke roghan mein jine wale is masum lahu ki kaun sunega
mamta bik bhi chuki hai chand Takon mein
qanun aankhen miche hue hai
qatil pahiye be-pahra hain
(467) Peoples Rate This