Rawish Rawish Pe Hain Nikhat-fashan Gulab Ke Phul
rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul
hasin gulab ke phul arghawan gulab ke phul
jahan-e-girya-e-shabnam se kis ghurur ke sath
guzar rahe hain tabassum-kunan gulab ke phul
ye mera daman-e-sad-chaak ye rida-e-bahaar
yahan sharab ke chhinTe wahan gulab ke phul
KHayal-e-yar tere silsile nashon ki ruten
jamal-e-yar teri jhalkiyan gulab ke phul
meri nigah mein daur-e-zaman ki har karwaT
lahu ki lahr dilon ka dhuan gulab ke phul
sulagte jate hain chup-chap hanste jate hain
misal-e-chehra-e-paighambaran gulab ke phul
ye kya tilism hai ye kis ki yasmin banhen
chhiDak gai hain jahan-dar-jahan gulab ke phul
kaTi hai umr bahaaron ke sog mein 'amjad'
meri lahad pe khilen jawedan gulab ke phul
(468) Peoples Rate This