Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The
phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the
KHud hi laDe bhanwar se kyun zahmat ki hum jo baiThe the
dilon ke ilmon se wo ujala tha har chehra kala tha
yun to kisi ne apne bhed kisi ko nahin batae the
mathe jab sajdon se uThe to safon safon jo farishte the
sab is shahr ke the aur hum in sab ke jaanne wale the
ahl-e-huzur ki baat na puchho kabhi kabhi un ke din bhi
soz-e-safa ki ek safrawi uktahaT mein kaTte the
qalinon par baiTh ke azmat wale sog mein jab roe
dimak lage zamir is izzat-e-gham par kya itrae the
jin ki jibh ke kunDal mein tha nish-e-aqrab ka paiwand
likkha hai un bad-suKHanon ki qaum pe azhdar barse the
jin ke lahu se nikhar rahi hain ye sarsabz hameshgiyan
azlon se wo sadiq jazbon tayyab rizqon wale the
(564) Peoples Rate This