Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil
jawedan qadron ki shamen bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil
aaj is miTTi ke har zi-ruh zarre mein bhi hai taswir-e-dil
apne dil ki rakh chun kar kash in lamhon ki bahti aag mein
main bhi ek sayyal shoale ke waraq par likh sakun tafsir-e-dil
main na samjha warna hangamon bhari duniya mein ek aahaT ke sang
koi to tha aaj jis ka qahqaha dil mein hai daman-gir-e-dil
rut badalte hi chaman chu ham-safir ab ke bhi koson dur se
aa ke jab is shaKH par chahke mere dil mein baji zanjir-e-dil
kya safar tha be-sada sadiyon ke pul ke us taraf us moD tak
pai-ba-pai ubhra sunahri gard se ek nala-e-dil-gir-e-dil
war duniya ne kiye mujh par to 'amjad' main ne is ghamsan mein
apna sina chir kar rakh di niyam-e-harf mein shamshir-e-dil
(343) Peoples Rate This