Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai
is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai
kanTon se ulajh kar jina hai phulon se lipaT kar marna hai
shayad wo zamana lauT aae shayad wo palaT kar dekh bhi len
in ujDi ujDi nazron mein phir koi fasana bharna hai
ye soz-e-darun ye ashk-e-rawan ye kawish-e-hasti kya kahiye
marte hain ki kuchh din ji len hum jite hain ki aaKHir marna hai
ek shahr-e-wafa ke band dariche aankhen miche sochte hain
kab qafila-ha-e-KHanda-e-gul ko in rahon se guzarna hai
is nili dhund mein kitne bujhte zamane rakh bikher gae
ek pal ki palak par duniya hai kya jina hai kya marna hai
raston pe andhere phail gae ek manzil-e-gham tak sham hui
ai ham-safaro kya faisla hai ab chalna hai ki Thaharna hai
har haal mein ek shoridgi-e-afsun-e-tamanna baqi hai
KHwabon ke bhanwar mein bah kar bhi KHwabon ke ghaT utarna hai
(569) Peoples Rate This