Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye
har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
sehhat ka ek pahlu marizana chahiye
duniya-e-be-tariq mein jis samt bhi chalo
raste mein ek salam rafiqana chahiye
aankhon mein umDe ruh ki nazdikiyon ke sath
aisa bhi ek dur ka yarana chahiye
kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz
apne liye azab judagana chahiye
ab dard-e-shush bhi sans ki koshish mein hai sharik
ab kya ho ab to nind ko aa jaana chahiye
raushan taraiyon se utarti hawa mein aaj
do chaar gam laghzish-e-mastana chahiye
'amjad' in ashk-bar zamanon ke waste
ek saat-e-bahaar ka nazrana chahiye
(1427) Peoples Rate This