Chehra Udas Udas Tha Maila Libas Tha
chehra udas udas tha maila libas tha
kya din the jab KHayal-e-tamanna libas tha
uryan zamana-gir sharar-gun jibillaten
kuchh tha to ek barg-e-dil un ka libas tha
us moD par abhi jise dekha hai kaun tha
sambhali hui nigah thi sada libas tha
yaadon ke dhundle des khili chandni mein raat
tera sukut kis ki sada ka libas tha
aise bhi log hain jinhen parkha to un ki ruh
be-pairahan thi jism sarapa libas tha
sadiyon ke ghaT par bhare melon ki bhiD mein
ai dard-e-shadman tera kya kya libas tha
dekha to dil ke samne sayon ke jashn mein
har aks-e-arzu ka anokha libas tha
'amjad' qaba-e-shah thi ki chola faqir ka
har bhes mein zamir ka parda libas tha
(411) Peoples Rate This