Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham
baras gaya ba-KHarabaat-e-arzu tera gham
qadah qadah teri yaaden subu subu tera gham
tere KHayal ke pahlu se uTh ke jab dekha
mahak raha tha zamane mein chaar-su tera gham
ghubar-e-rang mein ras DhunDhti kiran teri dhun
giraft-e-sang mein bal khati aab-e-ju tera gham
nadi pe chand ka partaw tera nishan-e-qadam
KHat-e-sahar pe andheron ka raqs tu tera gham
naKHil-e-zist ki chhanw mein nai-ba-lab teri yaad
fasil-e-dil ki kalas par sitara-ju tera gham
tulu-e-mahr shagufta sahar siyahi-e-shab
teri talab tujhe pane ki aarzu tera gham
nigah uThi to zamane ke samne tera rup
palak jhuki to mere dil ke ru-ba-ru tera gham
(643) Peoples Rate This