Nashsha-e-shauq Hai Fuzun Shab Ko Abhi Sahar Na Kar
nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar
dekh hadish-e-dil-baran itni bhi muKHtasar na kar
sara hisab-e-jaan-o-dil rakkha hai tere samne
chahe to de aman mujhe chahe to darguzar na kar
apnon se haar jit ka kaise karega faisla
ai mere dil Thahar zara ye jo muhim hai sar na kar
us ka ye husn wahm hai tera ye ishq hai guman
itna yaqin dil mere wahm-o-guman par na kar
hijrat-e-nau ka masala baDhte qadam na rok le
so meri jaan safar mein rah dar-e-fana mein ghar na kar
itna to waqt de kabhi KHud se karun mukalima
ai meri umr-e-tez-rau aise mujhe basar na kar
meri uDan hai mare rabb-e-karim ki ata
yun mere zid mein muntashir apne ye baal-o-par na kar
(368) Peoples Rate This