Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar
karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar
zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar
namaz-e-ishq hai TuTe dilon ki dildari
mere aziz na is ko kabhi qaza kiya kar
ujale ke liye hai chashm o dil ka aaina
bapa kabhi kisi mazlum ki aza kiya kar
ba-nam-e-mazhab-o-millat ye KHun bahana kya
hari hari wo karen tu KHuda KHuda kiya kar
baja sahi ye haya aur ye ehtiyat magar
kabhi kabhi to mohabbat mein hausla kiya kar
nazar mein rakh mere izhaar ki zarurat ko
kabhi to nun ka elan bhi rawa kiya kar
wo aib Dhakta hai tere sabhi majid-'aKHtar'
so tu bhi darguzar ahbab ki KHata kiya kar
(381) Peoples Rate This