BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe
baKHsh de kuchh to e'tibar mujhe
pyar se dekh chashm-e-yar mujhe
raat bhi chand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusar mujhe
raushni aur kuchh baDha jaun
soz-e-gham aur bhi nikhaar mujhe
kuchh hi din mein bahaar aa jati
aur karna tha intizar mujhe
dekh duniya ye paintare na badal
dekh shishe mein mat utar mujhe
aaine mein nazar nahin aata
apna chehra kabhi-kabhaar mujhe
kis qadar shoKH ho ke takta tha
raat band-e-qaba-e-yar mujhe
dekh main saat-e-masarrat hun
itni ujlat se mat guzar mujhe
markab-e-KHak par sawar hun main
dekh ai shahr-e-zar-nigar mujhe
rizq-e-maqsum kha ke jina tha
kha gai fikr-e-rozgar mujhe
(371) Peoples Rate This